September 28

Kids and decision power

Confused kid

Aksar hum apne bachon par apni marzi thop dete hain. Jaane anjaane unme hum apne khoye huye sapno ko dekhne lagte hain. Kiu hum ye bhul jate hain ki unki apni alag pehchaan hain. Humne sirf janm diya hai unke liye faisle lene ka haq hum nahi rakhte. Wo hamare ansh zarur hain. Par hamare toote bikhre sapno ka bhaar wo naazuk kandhe nahi utha sakte.

Hum ye kiu bhul jate hain ki unki ichchayein unki zindagi bilkul alag hai. Hum kiu unki khudki pehchaan unse chinna chahte hain, kiu hum unhe khulkar jeene nahi dena chahte. Bataur mata pita hamara farz hona chaie unke khudke sapno mein pankh lagana. Unhe unke faisle khud lene ka mauka dena. Main khud iss bat ko maanti hun aur bejhijhak follow bhi karti hun.

Sab tokte bhi hain mujhe, ki main kreesha se abhi se kiu puchti hun ki wo kya pehnegi, kya khelna hai ussey, kaunsa toy chaie usko, sabkuch. Par ye sab islie kiuki main nahi chahti ki ussey kabhi bhi aisa lage ki mera mann nahi hai par karna padega kiuki mumma ne bola. Bache ke mann kabhi ye khayal na aaye ki ye kaam ye padhai hum kisike kehne par kar rae hain. Bas yahi kehna hai aaj ki ek baar hum bachon ko unki zindagi ke faisle lene ka mauka toh de. Unhe ek baar kahe bacha tum chinta mat karo ma hai na tumhare sath.

Love,
Wonder Mom

September 27

Beti hai sabka jahaan

Daughters day
Kehte hai aaj bitiya diwas hai
Main kehti hun har din bitiya diwas hai
Jiss ghar mein beti hai
Wahan har din khushi hai
Jis ghar beti nahi
Wahan nahi hai khushhali
Beti se jeewan hai
Beti se hi toh ghar roshan hai
Bete toh sirf ek ghar ki Raunak hote hain
Betiyan toh do parivaaron ka Mel karati hain
Beti hai toh Jahan hai
Beto se kahan sansaar hai
Beta toh shadi ke baad parayan ho jata hai
Beti sasural jaakar bhi apni reh jati hai
Kehlayi jati hai paraya dhan
Beti to jeet leti hai sabka mann

Wonder Mom
Category: Poetry | LEAVE A COMMENT
September 25

Tumhare hone ka pehla ehsaas

Aazad khayalon ki main
Thi sabse juda main
Darti thi jis khayal se
Tumne saakar kiya use
Na na na karti rahi 
Par khuda ko tha manzoor yahi
Ki tum aao iss duniya mein 
Lao khushiyan mere jahan mein
Tumhare hone ki aahat se dil ghabraya tha
Chupke akeli raaton mein roya tha
Darti thi agar main tumhe sambhal na payi toh
Agar main achi ma na bann payi toh… 
Toh kya tum mujhse nafrat karogi?
Toh kya tum mujhe thukra dogi?
Par tha jo sath tumhare papa ka
Nikal phenka unhone khalal mere dimaag ka
Ab hum bunte the sapne tere liye
Kapde khilone kharide humne tere liye
Kahin na kahin mujhe ye maalum tha
Tum ho meri pari ye yakeen tha
Duniya hasti thi mujhpar ki ladka hoga
Main kehti thi par mujhe na gawara hoga
Abb intezaar the toh bas tere aane ka 
Mere yakeen par sabko yakeen dilane ka 

Wonder Mom
Category: Poetry | LEAVE A COMMENT
September 25

The feeling of being Mom

Hello Readers, 

Loads of love and wishes from Wonder Mom! Hope you all are enjoying your Sunday!

I have always heard that being a mom is a wonderful gift to women on this earth. However, I was too afraid to be one. As any other girl, I told my husband before our marriage, I will not plan a baby before two years. He also agreed to the same, as we wanted the ‘We Time’ for us. But, guess what, destiny had some other plans for us! Once we slipped a chance and boom… I was pregnant.  😑

But before I could know that, I was gymming and exercising to lose my increased weight. I used to be sick almost every other day. Infact, once I fainted while working in my office. That’s when I went for the check up and got the confirmation of being pregnant. Now, most of you must be wondering why I didn’t get confirmation at home with the test kit available. Well, I did that too but due to imbalance in hormones it showed me wrong results. I got scared, scared to the hell, as I was mentally not prepared for the child. Then, I don’t know what happened suddenly, and I was feeling good, actually feeling excited. 

My husband had no clue of what has actually changed my state of mind, but, I guess, it was the feeling of being blessed and the excitement of seeing yourself once again in your child. ( Though it never happened. She is not like me 😞)    

So here I was, to be a new mom, with all excitement, fear, enthusiasm, courage, and many other abstract feelings waiting for my child to come into the world.      

Love,

Wonder Mom                                     

September 24

When I met first my Partner…

Abhi toh mohabbat ka aaghaz hai, 
Ajnabee sa naya naya ye ehsaas hai.
Lagne laga koi apna aur khas hai, 
Kya isi ka naam pyar hai?
Koi ajnabee ban gaya zindagani hai, 
Waqt bitana uske sath zarurat hai.
Ikk mulaqat ka ye aalam hai, 
Kya isi ka naam pyar hai?
Yun toh hum mile the pehli baar, 
Dil ko ehsaas tha mile hain kai baar.
Chahat hai yahi hum mile baar baar, 
Kya isi ko kehte hain pyar?
Muskuraye toh hain hum kai baar, 
Par dil hua hai khush pehli baar.
Ye ehsaas rahe bas yuhin barkaraar, 
Kya isi ko kehta hain pyar?
Dil kahe ab maan bhi ja yaar, 
Ye ehsaas hua hai pehli baar.
Pehle kabhi na hua hai dil bekaraar, 
Haan yahi hai pyar,
Ae dil tujhe ho gaya hai pyar.

Wonder Mom
September 23

Ma banne ka safar

Toh laga purn ho gayi main
Tumne satana shuru kiya 
Toh laga fass gayi main
Tumhari wo pehli kick, 
Tumhari wo pehli dhadkan
Jab suni toh jee uthi firse main
Tumhara sath mujhe gudgudata tha
Toh kabhi bahut rulata bhi tha
Najane ye kaisa rishta tha
Bina dekhe bina mile jo juda tha
Ye na khoon ka rishta tha
Aur ye hi naam ka rishta tha
Kiuki wo toh tumhe pita se mila tha
Par ye ek ehsaas ka rishta tha
Ek bharose ka rishta tha
Ehsaas jisne humein sath bandha 
Bharosa jo tumne mujhpe kiya
Tabhi toh mujhe apni ma chuna
Shukra guzaar hun main tumhari 
Aur tumhare nau mahine ke sath ki
Warna na jane kaisa hota tum bin 
Ye maa banne ka safar.

Wonder Mom
September 21

Brutality of life in Covid Times

Hello Readers, 


To start off, I would like to address the harsh times we all are going through. The pandemic has brought life to a standstill. No schools, no offices, no outings, no vacations. All this feels like we have gone back in time where everyone used to be at home spending time with families and working together. This year has also brought negativity in the thoughts among many individuals. 
So here I am, to bring you all a fresh thought about this pandemic situation around us. We all have studied in Science that, ‘Every action has its equal and opposite reaction.’ We humans have been destroying our nature for so long. Cutting forests for constructions, abusing water, polluting air, exploiting economically weaker sections and being racists. It’s payback time friends. Start changing yourself, to bring in the bigger change in the current situation. 
Let’s all pledge to plant a tree on your special days, to use water wisely, to support others as much as we can and be good living beings. Once, we start being a good living being only then we can call ourselves HUMANS. 

Love,

Wonder Mom

September 20

Kudrat ke rang nirale

Zaruri nahi jo chaho zindagi mein wohi mile
Karlo chahe zindagi se lakh gile
Milega wohi jo likha naseebo mein
Kya pata kya likha kiski Taqdeer mein
Ache bure karm ka koi mol nahi
Khuda ne Jo likha bas wohi akhri bol hai
Zindagi se ab Darr lagta hai
Jane kab kaunsa mod le jaye
Khushi se aansu behtar lagte hain
Har pal jo sath reh jate hain
Kisne socha tha ki insaan ek kitanu se darr jayega
Itna khaufshuda hoga ki ghar mein dubak baith jayega
Jo ghurrahta tha kabhi bankar sher dusron pe
Aaj wo baitha hai gharon mein band hoke
Kudrat ka bhi khel nirala hai 
Insaan ke liye buna ikk jaala hai 
Faskar jisme woh ghutt raha hai
Khulkar saans lene ko bhi darr raha hai
Khuda ki naarazgi na jhel paaya 
Toh mukhote ke peeche hai chehra chupaya
Waqt bura hai badlo khudko
Abhi sambhle to bhaviya bachega
Warna kosoge marnoprant bhi khudko

Wonder Mom
September 19

Anootha Rishta

Ungli pakad chalna seekhaya,
Kaandhe bithake mela dikhaya
Khud upwaas kar humein khilaya,
kaisa anootha rishta baap beti ka banaya.
Galtiyon pe maaf kiya,
Khwaishon ko hosla diya,
hamari jeet ko apna banaya,
kaisa anootha rishta baap beti ka banaya.
kar khud se juda doge beti ko dua,
tu khush rahe aabad rahe,
sansaar mein tera naame,
sasural mein tera maan rahe.
Khudko mitakar sab beti ke liye banaya,
kaisa anootha rishta baap beti ka banaya

Wonder Mom

Category: Poetry | LEAVE A COMMENT
September 18

Meri Nanhi Pari

Haan tu Nanhi pari hai, Jisne Jeevan mein khushiyan Bhari hain
Tune sabka bachpan lautaya, Tune hi sabko bachcha banaya
Tune bichdon Ko milaya, Tune hi toh ruthon Ko manaya
Tu hai toh hum hain, Tere Bina bas gham hai
Tere nanhe kadamon ne chalte rehna sikhaya, Toh teri kilkaari ne bujhta diya Jalaya
Pata nahi kiu par Dil udaas hota hai, Akele mein chup chap rota hai
Kabhi kabhi Darr lagta hai, Kahin teri khushiyon Ko kisi ki Nazar na lag jaye
Kahin tera hamare liye ye pyar Kam na ho jaye, Kahin bidai ke Baad tu Alvida na kehde
Haan tu Nanhi pari hai, Jisne Jeevan mein khushiyan Bhari hain
Na Jane kiu khud par guroor hota hai, Tujhse hi toh mera Maan badhta hai
Tune ikk nayi Pehchan di hai, Waari tujhpe khushiyan Jahan ki hain
Tu hai toh main Hun, Tere Bina reh na sakun
Haan tu Nanhi pari hai, Jisne Jeevan mein khushiyan Bhari hain

Wonder Mom

Category: Poetry | LEAVE A COMMENT