September
25
Tumhare hone ka pehla ehsaas

Aazad khayalon ki main Thi sabse juda main Darti thi jis khayal se Tumne saakar kiya use Na na na karti rahi Par khuda ko tha manzoor yahi Ki tum aao iss duniya mein Lao khushiyan mere jahan mein Tumhare hone ki aahat se dil ghabraya tha Chupke akeli raaton mein roya tha Darti thi agar main tumhe sambhal na payi toh Agar main achi ma na bann payi toh… Toh kya tum mujhse nafrat karogi? Toh kya tum mujhe thukra dogi? Par tha jo sath tumhare papa ka Nikal phenka unhone khalal mere dimaag ka Ab hum bunte the sapne tere liye Kapde khilone kharide humne tere liye Kahin na kahin mujhe ye maalum tha Tum ho meri pari ye yakeen tha Duniya hasti thi mujhpar ki ladka hoga Main kehti thi par mujhe na gawara hoga Abb intezaar the toh bas tere aane ka Mere yakeen par sabko yakeen dilane ka Wonder Mom