Toh laga purn ho gayi main Tumne satana shuru kiya Toh laga fass gayi main Tumhari wo pehli kick, Tumhari wo pehli dhadkan Jab suni toh jee uthi firse main Tumhara sath mujhe gudgudata tha Toh kabhi bahut rulata bhi tha Najane ye kaisa rishta tha Bina dekhe bina mile jo juda tha Ye na khoon ka rishta tha Aur ye hi naam ka rishta tha Kiuki wo toh tumhe pita se mila tha Par ye ek ehsaas ka rishta tha Ek bharose ka rishta tha Ehsaas jisne humein sath bandha Bharosa jo tumne mujhpe kiya Tabhi toh mujhe apni ma chuna Shukra guzaar hun main tumhari Aur tumhare nau mahine ke sath ki Warna na jane kaisa hota tum bin Ye maa banne ka safar. Wonder Mom