Kids and decision power

Confused kid

Aksar hum apne bachon par apni marzi thop dete hain. Jaane anjaane unme hum apne khoye huye sapno ko dekhne lagte hain. Kiu hum ye bhul jate hain ki unki apni alag pehchaan hain. Humne sirf janm diya hai unke liye faisle lene ka haq hum nahi rakhte. Wo hamare ansh zarur hain. Par hamare toote bikhre sapno ka bhaar wo naazuk kandhe nahi utha sakte.

Hum ye kiu bhul jate hain ki unki ichchayein unki zindagi bilkul alag hai. Hum kiu unki khudki pehchaan unse chinna chahte hain, kiu hum unhe khulkar jeene nahi dena chahte. Bataur mata pita hamara farz hona chaie unke khudke sapno mein pankh lagana. Unhe unke faisle khud lene ka mauka dena. Main khud iss bat ko maanti hun aur bejhijhak follow bhi karti hun.

Sab tokte bhi hain mujhe, ki main kreesha se abhi se kiu puchti hun ki wo kya pehnegi, kya khelna hai ussey, kaunsa toy chaie usko, sabkuch. Par ye sab islie kiuki main nahi chahti ki ussey kabhi bhi aisa lage ki mera mann nahi hai par karna padega kiuki mumma ne bola. Bache ke mann kabhi ye khayal na aaye ki ye kaam ye padhai hum kisike kehne par kar rae hain. Bas yahi kehna hai aaj ki ek baar hum bachon ko unki zindagi ke faisle lene ka mauka toh de. Unhe ek baar kahe bacha tum chinta mat karo ma hai na tumhare sath.

Love,
Wonder Mom

Leave a Reply

Related Posts

Begin typing your search term above and press enter to search. Press ESC to cancel.

Back To Top
error

Enjoy this blog? Please spread the word :)